Pages

Subscribe:

Friday, April 15, 2011

मै और मेरी तन्हाई..!!

~~Mai zindagi ke saath chalne ki koshish karta hu~~
~lekin hamesha peeche rah jata hu~
~~Mai ek kadam aage badata aur rukta~~
~Itne me zindagi mujhse char kadam aage ho jati~
~~Wo hamesha jit ti aur mai hamesha harta~~
~Zindagi jab bhi mujhse jit ti mai hamesha muskurata~
~~Meri muskurahat ko wo badi herani se dekhti~~
~Salo tak yahi silsila chalta raha~

~~Fir ek din zindagi ne mujhe muskurate dekha to poocha "Tum haar kar bhi muskurate ho..kya tumhe dukh nhi hota apni haar ka..??"~~
~Tab maine kaha-Mujhe pata hai ek din aisa aayega~
~~Zindagi char kadam to kya ek kadam bhi aage na bad payegi~~
~Maut mujhe baho me liye zindagi se bahut aage nikal jayegi~
~~Tab zindagi mera intezaar karegi aur mai maut ke saath aage bad jaunga~~
~Ek pal ruk kar zindagi ko dekhkar muskuraunga~
~~Beete safar ko yaad kar apne kadam fir badaunga~~
~Aur usi pal mai zindagi se jeet jaunga~

~~Mai apni haar par bhi muskurata tha aur jeet par bhi~~
~Lekin zindagi na apni jeet par muskura payi aur na apni haar par ro payi..!! ~


0 comments:

Post a Comment