Pages

Subscribe:

Friday, April 15, 2011

Is Raste Ka Ant Nahi..!!

Wo kahte hai mere sath kuch achcha nahi hota,

kya karu jaisa chahta hu,waisa nahi hota..!!
;;
;;

Zindagi ki mushkilo se haar gaya hu mai,

janta hu isi raste par chalkar,manzil ko paunga mai..!!
;;
;;

In mushkilo ko koi sah leta hai to koi kah leta hai,

Rishto ne hume samjhaya hai ki thokar dene wala sirf pathar nahi hota..!!
;;
;;

Is raste ka ant nahi hai ye janta hu mai,

Fir bhi sabkuch chupchap sah raha hu mai..!!
;;
;;

Is baat ka gum nahi mujhe ki koi mere saath nahi chalta,

Waise bhi janta hu duniya mai khud se badkar humsafar nahi hota..!!
;;
;;
;;
Aapka Apna- Nitesh

Mai Dard ka Sailab hu..

Is anjnabi duniya mein,

Akela ek khawaab hu,

Sawaalo se khafa,Chhota sa jawaab hu,

Jo na samjh sake,Unke liye "KOUN",

Jo samajh chuke,Unke liye kitaab hu,

Duniya ki nazar mein,Jaane kyu chubha sa gulab hu,

Sabse nashilee aur badnaam sharaab hu,

Sar uthakar dekho,Wo dekh raha hai tumko,

Jisko na dekha usne,Wo chamakta aaftab hu,

Aankh se dekhoge,To khush paoge,

Dil se poochoge,To dard ka sailaab hu....!!

मै और मेरी तन्हाई..!!

~~Mai zindagi ke saath chalne ki koshish karta hu~~
~lekin hamesha peeche rah jata hu~
~~Mai ek kadam aage badata aur rukta~~
~Itne me zindagi mujhse char kadam aage ho jati~
~~Wo hamesha jit ti aur mai hamesha harta~~
~Zindagi jab bhi mujhse jit ti mai hamesha muskurata~
~~Meri muskurahat ko wo badi herani se dekhti~~
~Salo tak yahi silsila chalta raha~

~~Fir ek din zindagi ne mujhe muskurate dekha to poocha "Tum haar kar bhi muskurate ho..kya tumhe dukh nhi hota apni haar ka..??"~~
~Tab maine kaha-Mujhe pata hai ek din aisa aayega~
~~Zindagi char kadam to kya ek kadam bhi aage na bad payegi~~
~Maut mujhe baho me liye zindagi se bahut aage nikal jayegi~
~~Tab zindagi mera intezaar karegi aur mai maut ke saath aage bad jaunga~~
~Ek pal ruk kar zindagi ko dekhkar muskuraunga~
~~Beete safar ko yaad kar apne kadam fir badaunga~~
~Aur usi pal mai zindagi se jeet jaunga~

~~Mai apni haar par bhi muskurata tha aur jeet par bhi~~
~Lekin zindagi na apni jeet par muskura payi aur na apni haar par ro payi..!! ~